اردو हिंदी
Naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya | Shaahi Shayari
naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya

Ghazal

Naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya

Zahiir Ahmad Taaj

;

naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya
lakh chhupaya jazb-e-ishq fash ye raaz ho gaya

bazm mein mushtahar hui meri hadis-e-arzu
shola-e-jaan bhaDak uTha naghma-e-saz ho gaya

fash na kar saka koi raaz tere wajud ka
fash mujhe jo kar diya fash ye raaz ho gaya

banda-e-be-nawa baDhe jinn-o-malak se tha ajab
lutf-e-karim ka magar zarra-nawaz ho gaya

mere gunahon se siwa rahmaten hain teri karim
lakh KHataon par bhi tu banda-nawaz ho gaya

farhat-e-bandagi mili tabish-e-zindagi mili
dil se jo ek bar main mahw-e-namaz ho gaya

'taj' niyaz-e-ashiqi raaz-e-numud-e-husn hai
jis pe ye raaz khul gaya KHud hi wo raaz ho gaya