naghma-e-ishq sunata hun main is shan ke sath
raqs karta hai zamana mere wijdan ke sath
hai mera zauq-e-junun kufr-o-KHirad ki zad mein
ai KHuda ab to uTha le mujhe iman ke sath
dil bana dost to kya kya na sitam us ne kiye
hum bhi nadan the nibhate rahe nadan ke sath
dagh mathe pe chale shaiKH-o-barahman le kar
aae the dair-o-haram tak baDe arman ke sath
gham-e-jaanan gham-e-hasti gham-e-haalat 'shakil'
kya kahun kitni balaen hain meri jaan ke sath
Ghazal
Naghma-e-ishq sunata hun main is shan ke sath
Shakeel Badayuni