اردو हिंदी
Nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe | Shaahi Shayari
nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe

Ghazal

Nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe

Iqbal Minhas

;

nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe
ajib log the jo dilbaron se dur rahe

duaen mangte phirte hain log galiyon mein
mata-e-hosh hamare saron se dur rahe

ye log kimiya-gar hain parakh na len hum ko
ye baat soch ke wo be-zaron se dur rahe

mata-e-dard luTate rahe zamane mein
hum ahl-e-dard the saudagaron se dur rahe

girun zamin pe main TuT kar sitara sa
magar sukun ki KHwahish paron se dur rahe

nikal ke KHud se shanasai ki nazar DhunDo
jo log ghar mein rahe dusron se dur rahe

badan hai shishe ke manind waqt ka iqbaal
use batao ki hum pattharon se dur rahe