nafraten dil se miTao to koi baat bane
pyar ki shamen jalao to koi baat bane
aaj insan KHuda KHud ko samajh baiTha hai
is ko insan banao to koi baat bane
tirgi baDhne lagi apni hadon se aage
mishalen din mein jalao to koi baat bane
mai-kade mein nazar aate hain sabhi jam-ba-dast
mujh ko aankhon se pilao to koi baat bane
dharm ke nam pe KHun kitna bahaoge miyan
pyar ke jam lunDhao to koi baat bane
masale KHun-KHarabe se nipaTte kab hain
pyar se un ko manao to koi baat bane
ho jo duniya ke liye amn-o-sukun ka zamin
aisa paigham sunao to koi baat bane
jin ke honTon se hansi chhin li duniya ne 'ashok'
un ko sine se lagao to koi baat bane
Ghazal
Nafraten dil se miTao to koi baat bane
Ashok Sawhny