nafrat ke sath pyar ki miThi tarang hai
manjha hai kaT-dar rangili patang hai
suraj ki ek kiran ko tarasta hai lafz lafz
meri ghazal ke chehre pe raaton ka rang hai
zarre ki aab-o-tab ka pechida karobar
jis ki jhalak ko dekh ke suraj bhi tang hai
mere KHulus ke liye us mein jagah kahan
dil us ka qabr ki tarah tarik-o-tang hai
hoti hai kis ki jit 'raza' dekhte raho
mauj-e-ghazab ki aaj kinare se jang hai
Ghazal
Nafrat ke sath pyar ki miThi tarang hai
Qazi Hasan Raza