nafas nafas zindagi ke ho kar ajal ki tashhir kar rahe hain
ye kis jatan mein lage hain hum sab kise jahangir kar rahe hain
kahan pata tha teri shafaq hi pas-e-ghubar-e-zawal hogi
tujhi ko mismar kar diya tha teri hi tamir kar rahe hain
rah-e-shahadat pe sar ke hamrah ek aaseb chal raha hai
hamin yazid-e-ahd na niklen ki KHud ko shabbir kar rahe hain
sadaen deti hui KHalaen kahin zaminon tak aa na jaen
ye KHwab-kari ye pur-takalluf bara-e-tabir kar rahe hain
agarche pahle yaqin kam tha par ab to tasdiq ho chuki hai
na jaane radd-e-amal mein kyun hum mazid taKHir kar rahe hain
hamare sare gunah waiz-e maqal-e-iftitahiya hain
abhi to hum nama-e-amal ka muqaddama tahrir kar rahe hain
Ghazal
Nafas nafas zindagi ke ho kar ajal ki tashhir kar rahe hain
Aqib Sabir