nafas nafas pe naya soz-e-agahi rakhna
kisi ka dard bhi ho aankh mein nami rakhna
wo tishna-lab hun ki meri ana ka hai mear
samundaron se bhi paiman-e-tishnagi rakhna
rafaqaton ke tasalsul se ji na bhar jae
judaiyon ka bhi mausam kabhi kabhi rakhna
wafa kisi pe koi qarz to nahin hoti
jo ho sake to hamara KHayal bhi rakhna
kahin sitam ke andhere na ruh ko Das len
fasil-e-jism pe zaKHmon ki raushni rakhna
charagh-e-subh sahi hum hamare maslak mein
rawa nahin hai andheron se dosti rakhna
ajib shaKHs hai wo bhi ki us ko aata hai
gurez mein bhi ada-e-supurdagi rakhna
talluqat mein raKHne bhi Dal deta hai
har aadmi se umiden nai nai rakhna
hamara kaam hai harfon ko raushni de kar
KHud apne zarf mein chingariyan dabi rakhna
hawa-e-shab ka nahin eatibar ai 'shair'
hazar nind ho aankhen magar khuli rakhna
Ghazal
Nafas nafas pe naya soz-e-agahi rakhna
Shaayar Lakhnavi