اردو हिंदी
Nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain | Shaahi Shayari
nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain

Ghazal

Nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain

Nushur Wahidi

;

nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain
tamam ruh-e-taKHayyul pe chhae jate hain

hum un ka zauq-e-mohabbat chhupae jate hain
magar ye abr jo sawan ke aae jate hain

yahi saman tha kisi ki wida-e-aKHir ka
sitara-ha-e-sahar jhilmilae jate hain

zamana yaad kare ya saba kare KHamosh
hum ek charagh-e-mohabbat jalae jate hain

'nushur' aap ke ashaar-e-dard kya kahna
kisi ki bazm-e-mohabbat mein gae jate hain