اردو हिंदी
Nafas nafas na kahin jae raegan apna | Shaahi Shayari
nafas nafas na kahin jae raegan apna

Ghazal

Nafas nafas na kahin jae raegan apna

Habeeb Rahat Habab

;

nafas nafas na kahin jae raegan apna
hawa ki shaKH pe rakkha hai aashiyan apna

hamare KHwab mein kamKHab hai na resham hai
yaqin yaqin hi raha hai na ab guman apna

aba-qaba to hai shahon ki chonchle-bazi
qalandaron ka hai sab se alag jahan apna

tere KHulus ke hathon bike hue hain hum
na sud sud hai apna na hai ziyan apna

nigah-e-naz ne be-KHud kiya hai jis din se
mata-e-jism hai apni na zad-e-jaan apna

kiya hai chand pe basne ka ahd jab us ne
zamin DhunDhti phirti hai aasman apna

wahin wahin se numu paegi meri hasti
lahu 'habab' gira hai jahan jahan apna