اردو हिंदी
Nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai | Shaahi Shayari
nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai

Ghazal

Nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai

Musavvir Sabzwari

;

nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai
hisar-e-jism mein ek chiKHta samundar hai

hawa-e-taza ke manind mat lipaT mujh se
gai ruton ka bahut zahr mere andar hai

nikal ke jaun gunah-gar-e-tirgi se kidhar
har ek hath mein ab raushni ka patthar hai

ek aag uDti hui si wahi taaqub mein
badan ki rakh abhi shayad badan ke andar hai

tu kyun uDhata hai mujh ko ye raushni ki rida
mujhe KHabar hai andhera mera muqaddar hai

salib-e-shab se 'musawwir' sahar ke maqtal tak
kahan milen ki har ek fasla barabar hai