nafaz-e-nazm pur-srar hai aisa nahin lagta
gulistan mein koi sarkar hai aisa nahin lagta
yahan har jeb mein KHwabon ki zar-muhren khanakti hain
ye duniya dard ka bazar hai aisa nahin lagta
hum apni jhonk mein aage ki jaanib baDhte jate hain
hamare samne diwar hai aisa nahin lagta
sar-e-pindar se pa-e-junun ka rabt ghaeb hai
ye piDhi barsar-e-paikar hai aisa nahin lagta
main jaise ek rah-e-sust-rau ki sair karta hun
meri ranon tale rahwar hai aisa nahin lagta
umaD ke aaya to hai abr-e-girya matla-e-jaan se
magar ye saiqa-bardar hai aisa nahin lagta
ba-yak jast-e-tasawwur bazm-e-jaanan mein pahunchta hai
ye 'arshad' hijr ka bimar hai aisa nahin lagta
Ghazal
Nafaz-e-nazm pur-srar hai aisa nahin lagta
Arshad Abdul Hamid

