اردو हिंदी
Nae zamane mein ab ye kamal hone laga | Shaahi Shayari
nae zamane mein ab ye kamal hone laga

Ghazal

Nae zamane mein ab ye kamal hone laga

Bekal Utsahi

;

nae zamane mein ab ye kamal hone laga
ki qatl kar ke bhi qatil nihaal hone laga

meri tabahi ka bais jo hai zamane se
usi ko ab mera kahe KHayal hone laga

hawa-e-ishq ne bhi gul khilae hain kya kya
jo mera haal tha wo tera haal hone laga

shab-e-firaq wo kaisa tha jashn yaadon ka
ki jis ka zikr bhi baad-e-visal hone laga

jo ranj-o-gham mein mere sath sath tha ab tak
use bhi meri KHushi se malal hone laga

jahan pe manzar-e-jalwa tha sirf wahm o guman
wahin pe jalsa-e-zohra-jamal hone laga

tumhaare qadr se agar baDh rahi ho parchhain
samajh lo dhup ka waqt-e-zawal hone laga

na KHud ko becha na koi KHushamaden ki hain
to kaise tum pe ye 'bekal' sawal hone laga