nae sire se koi safar aaghaz nahin karta
jaane kyun ab dil mera parwaz nahin karta
kitni buri aadat hai main KHamosh hi rahta hun
jab tak mujh se koi suKHan aaghaz nahin karta
kaise zinda rahta hun main zahr ko pi kar ab
diwar-o-dar ko bhi to hamraaz nahin karta
taza hawa ke jhonke aksar aate rahte hain
aaKHir kyun main apne dariche baz nahin karta
jaane kaisa rag bajaana sikh liya dil ne
meri sangat ab koi dam-saz nahin karta
ahl-e-hunar ki aankhon mein kyun chubhta rahta hun
main to apni be-hunari par naz nahin karta
mujh mein kuchh hoga to duniya KHud jhuk jaegi
main neze par sar apna afraaz nahin karta
waqt ke sare chakkar hain ye 'alam'-ji warna
yahan kisi ko koi nazar-andaz nahin karta
Ghazal
Nae sire se koi safar aaghaz nahin karta
Alam Khursheed