nae nairang dikhlata hai ye charKH-e-kuhan kya kya
jahan mein gul khilaegi abhi KHak-e-chaman kya kya
jahan ki sar-bulandi ka maal-e-kar pasti hai
nashat-o-aish-e-munim par hai muflis KHanda-zan kya kya
usi husn-e-azal ki lauh-e-alam par hain tahriren
wahi ek ishq ka mazmun hai andaz-e-suKHan kya kya
abhi se rah-naward-e-ishq himmat haar baiThe hain
guzarni hain abhi to ghaTiyan un ko kaThan kya kya
Ghazal
Nae nairang dikhlata hai ye charKH-e-kuhan kya kya
Khushi Mohammad Naazir