اردو हिंदी
Nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye | Shaahi Shayari
nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye

Ghazal

Nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye

Nasir Kazmi

;

nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye
wo shaKHs to shahr hi chhoD gaya main bahar jaun kis ke liye

jis dhup ki dil mein ThanDak thi wo dhup usi ke sath gai
in jalti balti galiyon mein ab KHak uDaun kis ke liye

wo shahr mein tha to us ke liye auron se bhi milna paDta tha
ab aise-waise logon ke main naz uThaun kis ke liye

ab shahr mein us ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin
aiwan-e-ghazal mein lafzon ke gul-dan sajaun kis ke liye

muddat se koi aaya na gaya sunsan paDi hai ghar ki faza
in KHali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye