nae kapDe badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain
koi chhoD gaya ye shahr to kya tere chahne wale aur bhi hain
kai palken hain aur peD kai mahfuz hai ThanDak jin ki abhi
kahin dur na ja mat KHak uDa tere chahne wale aur bhi hain
kahti hai ye sham ki narm hawa phir mahkegi is ghar ki faza
naya kamra saja nai shama jala tere chahne wale aur bhi hain
kai phulon jaise log bhi hain inhi aise-waise logon mein
tu ghairon ke mat naz uTha tere chahne wale aur bhi hain
bechain hai kyun ai 'nasir' tu behaal hai kis ki KHatir tu
palken to uTha chehra to dikha tere chahne wale aur bhi hain
![nae kapDe badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain](/images/pic02.jpg)
Ghazal
Nae kapDe badal aur baal bana tere chahne wale aur bhi hain
Sabir Zafar