nae jaziron ki hum ko bhi chahaten thin bahut
hamari rah mein lekin riwayaten thin bahut
kahin bhi aag lage us ka nam aata hai
use charagh jalane ki aadaten thin bahut
kisi ka lahja yaqinan fareb lagta tha
magar fareb ke pichhe sadaqaten thin bahut
andhere zaKHm masail dhuan lahu aansu
ganwate hum bhi kahan tak wirasaten thin bahut
wo jis ki guftugu phulon ka istiara thi
KHamoshiyon mein bhi us ki fasahaten thin bahut
utara jata tha sadqa hamari jaan ka bhi
hamare dam se bhi mansub chahaten thin bahut
bahut samajhte hain thoDe likhe ko hum 'shadab'
hamare waste ek do shikayaten thin bahut
Ghazal
Nae jaziron ki hum ko bhi chahaten thin bahut
Moin Shadab