nae ek shahr ko subh-e-safar kya le chali mujh ko
sadaen de rahi hai ek chhoTi si gali mujh ko
main apni umr bhar ka chain jab us dar pe chhoD aaya
mili hai tab kahin ja kar zara si be-kali mujh ko
main qatre gin ke insanon ki taqdiren banata hun
zara si tishna-kaami ne bana Dala wali mujh ko
main wo gulshan-gazida hun ki tanhai ke mausam mein
nahin hote agar kanTe to Dasti hai kali mujh ko
mohabbat thi use lekin mera iflas jab dekha
pareshan si nazar aai wo nazon ki pali mujh ko
'qatil' aabaad jab ghar tha to kyun mujh par kahin ghazlen
ye tana jate jate de gai ek dil-jali mujh ko
Ghazal
Nae ek shahr ko subh-e-safar kya le chali mujhko
Qateel Shifai