nae hain wasl ke mausam mohabbaten bhi nai
nae raqib hain ab ke adawaten bhi nai
jawan dilon mein panapte hain ab nae ruman
hasin chehron pe likkhi ibaraten bhi nai
wo mujh ko chhu ke pasheman hai ajnabi ki tarah
adaen us ki achhuti shararten bhi nai
wo jis ne sar mein diya inqalab ka sauda
mere lahu ko wo baKHshe hararaten bhi nai
KHushi mein hans nahin sakte ye gham ki gham bhi nahin
hamare karb anokhe aziyyaten bhi nai
nai rawish nae imkan nirala tarz-e-'suKHan'
hamare lafzon se raushan bashaaraten bhi nai
Ghazal
Nae hain wasl ke mausam mohabbaten bhi nai
Abdul Wahab Sukhan