nae ghamze nae andaz nazar aate hain
din-ba-din husn ke eajaz nazar aate hain
wo shahid-e-nigah-e-naz nazar aate hain
aaj-kal aur hi andaz nazar aate hain
sar jhukae hue chalta hun tere kuche mein
kyunki sar-baz hi sar-baz nazar aate hain
bahut unche na uDe hain na uDenge gesu
ye kabutar to girah-baz nazar aate hain
jhuT KHud bolna ulTa mujhe jhuTa kahna
sach hai dam-bazon ko dam-baz nazar aate hain
bhej to di hai ghazal dekhiye KHush hon ki na hon
kuchh khaTakte hoe alfaz nazar aate hain
ghamza-o-naz-o-ada mehr-o-wafa jaur-o-jafa
sab ke sab KHana-bar-andaz nazar aate hain
lutf aae jo shab-e-wasl moazzin so jae
kyunki wo gosh-bar-awaz nazar aate hain
umar guzri hamin sarkar pe marte marte
jaan dete hain to jaan-baz nazar aate hain
bulbulon se nahin gulzar-e-zamana KHali
shukr hai yan bhi ham-awaz nazar aate hain
bad-gumani bhi mohabbat ka nishan hai 'parwin'
ghalati ho to ho naraaz nazar aate hain
Ghazal
Nae ghamze nae andaz nazar aate hain
Parveen Umm-e-Mushtaq

