nae fitnon ke har jaanib se itne sar nikal aae
zamin par jis tarah sabza nami pa kar nikal aae
bahut hoshiyar logo is nai tariKH ke hathon
na jaane kab tumhaara ghar kisi ka ghar nikal aae
kahin ke phul-patte hain kahin ke phal kahin ke hain
kuchh aise peD bhi bhaarat ki dharti par nikal aae
dar-e-taqdis ko jab wa kiya to qasr-e-hurmat se
bataun kya tumhein ki kitne saudagar nikal aae
tumhaara aur tumhaare nazm ka us roz kya hoga
kabhi socha hai diwaron mein jis din dar nikal aae
'saadat' aap is dida-waron ki bhiD mein DhunDhen
bahut mumkin hai un mein koi dida-war nikal aae
Ghazal
Nae fitnon ke har jaanib se itne sar nikal aae
Saadat Bandvi