nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai
mohabbaton ki jasaraton ki saza nahin hai jaza nahin hai
nigah ke shoKH-pan ko beganagi ka aaseb Das gaya hai
mughayrat ka fusun-zada dil junun ke shayan raha nahin hai
koi bhi sajni kisi bhi sajan ki muntazir hai na muztarib hai
tamam baam aur dar bujhe hain kahin bhi raushan diya nahin hai
hayat ke pur-jamal manzar pe koi nutq aur qalam na mahka
naya qalamkar nudrat-e-fan ki KHushbuon par fida nahin hai
yahin pe kal hum se tum se yaro muaddaton ko janam mila tha
dayar-e-yaran wahi hai lekin koi wafa-ashna nahin hai
visal-ghaDiyon firaq-lamhon ke gham, tarab sab fasanche hain
milan ka aur na-milan ka sukh dukh dilon ki tah mein chhupa nahin hai
main dair o kaba mein DhunD aaya to main ne paya ye ilm o irfan
main ek insan hun meri hasti se koi hasti wara nahin hai
wo chashm-e-bina ki manzilen thin ye kor-chashmi ke marhale hain
purani pahchan mar gai hai kisi se koi mila nahin hai
Ghazal
Nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai
Anwar Aleemi