nae Dhab ka kuchh josh-e-sauda hua hai
KHuda jaane ab ke mujhe kya hua hai
talluq un aankhon se paida hua hai
bahut din ka ye KHwab dekha hua hai
na aalam mein tujh sa na mujh sa jahan mein
na aisa hua hai na waisa hua hai
na le qais aage mere nam-e-wahshat
abhi kal ki hai baat paida hua hai
phir uThta hai dud-e-mohabbat jigar se
wahi haal agla sa mera hua hai
ye ghar-bar hai dida-e-ashk-za se
mera daman aaghosh-e-dariya hua hai
wo wadi-e-aiman pe mauquf kya hai
hamara har ek dasht dekha hua hai
zara dam to lene de ai chashm-e-jadu
baDi muddaton mein dil achchha hua hai
kaha main ne tanhai hai baat sun lo
kaha hans ke tum ko to sauda hua hai
taraqqi pe hai naujawani tumhaari
abhi kya hua hai abhi kya hua hai
hijab-e-nazar se khule bhed dil ke
abas hum se zahir mein parda hua hai
hamari tumhaari to hain dil ki baaten
na mano agar us ka charcha hua hai
na ghabrao jaana aji hum bhi samjhe
kahin aur bhi aaj wada hua hai
na manenge hum aaj to le chalenge
bahut rose imroz farda hua hai
agar tum bhi dekho to rone lagoge
meri jaan ye haal apna hua hai
'nasim' ab kahan qadr-dan-e-suKHan hain
kahe sher ye bhi jo charcha hua hai
Ghazal
Nae Dhab ka kuchh josh-e-sauda hua hai
Naseem Dehlvi