nae des ka rang naya tha
dharti se aakash mila tha
dur ke dariyaon ka sona
hare samundar mein girta tha
chalti nadiyan gate nauke
nokon mein ek shahr basa tha
nauke hi mein rain-basera
nauke hi mein din kaTta tha
nauka hi bachchon ka jhula
nauka hi piri ka asa tha
machhli jal mein taDap rahi thi
nauka lahron mein uljha tha
hansta pani rota pani
mujh ko aawazen deta tha
tere dhyan ki kashti le kar
main ne dariya par kiya tha
Ghazal
Nae des ka rang naya tha
Nasir Kazmi