nae charagh nai raushni ata karte
agar purane diye un se kuchh wafa karte
main zindagi tere ehsan mein daba hi raha
ek umr guzri tera qarz bhi ada karte
tujhe bhi aate musafir salam manzil ke
ba-sad-KHulus jo tere qadam uTha karte
KHudi pasand anasir hayat ki KHatir
jo ehtijaj na karte to aur kya karte
samajh se kaam jo leta har ek bashar 'taban'
na haha-kar hi machte na ghar jala karte

Ghazal
Nae charagh nai raushni ata karte
Anwar Taban