nae charagh ki lau panw se lipaTti hai
magar wo raat kahan raste se haTti hai
main KHanqah-e-badan se udas lauT aaya
yahan bhi chahne walon mein KHak baTti hai
zara sa sach bhi kisi se kaha nahin jata
zara si baat pe gardan hamari kaTti hai
ye kis ke panw rakhe hain hawa ke sine par
agar main sans bhi leta hun umr ghaTti hai
abhi bahut hain andheron ko pujne wale
yahan charagh bujhao to raat kaTti hai
Ghazal
Nae charagh ki lau panw se lipaTti hai
Nomaan Shauque