'nadim' un ki zaban par phir hamara nam hai shayad
hamari fikr mein phir gardish-e-ayyam hai shayad
sar-e-ku-e-butan jo ek amboh-e-harifan hai
faraaz-e-baam par ab bhi wo jalwa aam hai shayad
mere ahbab bhi KHush hain meri barbaadi-e-dil par
suluk-e-dostan logo isi ka nam hai shayad
sar-e-mahfil nigahon ka tasadum dekhne walo
kisi ko phir kisi se aa paDa kuchh kaam hai shayad
ajab andaz se aai hai kuchh aThkheliyan karti
shamin-e-jaan-fiza ke pas kuchh paigham hai shayad
KHayal aata hai aksar dekh kar ruKHsar-o-gesu ko
na aisi subh hai shayad na aisi sham hai shayad
nazar bhi ab nahin uThti hamari samt mahfil mein
'nadim' isar-o-ulfat ka yahi anjam hai shayad

Ghazal
Nadim unki zaban par phir hamara nam hai shayad
Raj Kumar Soori Nadeem