اردو हिंदी
Nadim-e-dard-e-mohabbat baDa sahaara hai | Shaahi Shayari
nadim-e-dard-e-mohabbat baDa sahaara hai

Ghazal

Nadim-e-dard-e-mohabbat baDa sahaara hai

Saghar Nizami

;

nadim-e-dard-e-mohabbat baDa sahaara hai
jabhi to ye gham-e-dauran hamein gawara hai

zamana kahta hai hangama-e-hayat jise
mere hujum-e-tamanna ka istiara hai

jo mere dil ko hai aatish-kada banae hue
wo soz un ki nazar ka hi aashkara hai

akela chhoD ke tufan ko guzar jae
ye be-ruKHi meri kashti ko kab gawara hai

na jaane mauj-e-tabassum hai ya koi aansu
phir un ke honT pe betab ek sitara hai

majal-e-ishq kahan thi ki hum ko karta KHak
hamein to zist ki pamaliyon ne mara hai

wafa-e-dost ki masti nasib hai 'saghar'
jafa-e-dahr faqat is liye gawara hai