nadim bagh mein josh-e-numu ki baat na kar
bahaar aa to gai rang-o-bu ki baat na kar
ajib bhul-bhulayyan hai shahrah-e-hayat
bhaTakne wale yahan justuju ki baat na kar
tabah kar na mazaq-e-junun ki KHuddari
dil-e-tabah kisi tund-KHu ki baat na kar
KHud apne tarz-e-amal ko sanwar aur sanwar
mere rafiq tariq-e-adu ki baat na kar
gurez-e-husn ko andaz-e-husn kahte hain
nazar se dekh magar KHub-ru ki baat na kar
ye barq-e-husn jalati to hai magar naseh
wo aur shai hai mere shoala-KHu ki baat na kar
ye mai-kade ki faza kah rahi hai ai 'aKHtar'
ki tishnagi mein bhi jam-o-subu ki baat na kar
Ghazal
Nadim bagh mein josh-e-numu ki baat na kar
Akhtar Ansari Akbarabadi