nadi thi kashtiyan thin chandni thi jharna tha
guzar gaya jo zamana kahan guzarna tha
mujhi ko rona paDa ratjage ka jashn jo tha
shab-e-firaq wo tara nahin utarna tha
mere jalal ko karna tha KHam sar-e-taslim
tere jamal ka shiraaza bhi bikharna tha
tere junun ne ek nam de diya warna
mujhe to yun bhi ye sahra ubur karna tha
ek aisa zaKHm ki jis par KHizan ka saya na tha
ek aisa pal ki jo har haal mein Thaharna tha
Ghazal
Nadi thi kashtiyan thin chandni thi jharna tha
Shahram Sarmadi

