nabud o bud ke manzar banata rahta hun
main zard aag mein KHud ko jalata rahta hun
tere jamal ka sadqa ye aatish-e-raushan
charagh aab-e-rawan par bahata rahta hun
duaen us ke liye hain sadaen us ke liye
main jis ki rah mein baadal bichhata rahta hun
udas dhun hai koi un ghazal aankhon mein
diye ke sath jise gungunata rahta hun
ajib sust-rawi se ye din guzarte hain
main aasman pe shamen banata rahta hun
main uDta rahta hun nile samundaron mein kahin
so titliyon ke liye KHwab lata rahta hun
ye mujh mein phail raha hai jo iztirab-e-shadid
to phir ye tai hai use yaad aata rahta hun
Ghazal
Nabud o bud ke manzar banata rahta hun
Kaami Shah