nazil hua tha shahr mein kala azab ek
ghaarat-gar-e-nasib tha KHana-KHarab ek
sansen sisakti rah gain diwar-o-dar ke bich
barpa hua tha chhat pe naya inqalab ek
mera safar tha jism ke bahar falak ki samt
utra tha meri qabr pe jab aaftab ek
mere liye bahut thi KHizan-dida raushni
us ki pasand lakh mera intiKHab ek
arz-o-sama se koi talluq na rabta
ras aa gaya hai mujh ko safar la-jawab ek
shahr-e-ghazal mein jauhar-e-nayab fan 'alim'
hain sainkaDon janab mein aali-janab ek
Ghazal
Nazil hua tha shahr mein kala azab ek
Aleem Saba Navedi