اردو हिंदी
Naz-o-ada hai tujhse dil-aram ke liye | Shaahi Shayari
naz-o-ada hai tujhse dil-aram ke liye

Ghazal

Naz-o-ada hai tujhse dil-aram ke liye

Haidar Ali Aatish

;

naz-o-ada hai tujh se dil-aram ke liye
ye jama qata hai tere andam ke liye

wahshat mein kabe ko jo gaya ku-e-yar se
latte junun ne jama-e-ehram ke liye

aashiq hun har tarah se gunahgar hun tera
hajat qusur ki nahin ilzam ke liye

kya kya japegi kaisa raTegi zaban use
tasbih hum ne li hai tere nam ke liye

tifli ke girye ka ye khula haal waqt-e-marg
aaghaz hi mein rote the anjam ke liye

achchha nahin muqabla us chashm-e-shoKH se
ek din shikast-e-fash hai baadam ke liye

wo naunihaal aae ilahi murad par
hasil ho puKHtagi samar-e-KHam ke liye

har-chand apna nama-e-isyan siyah ho
hoga safed subh hai har sham ke liye

namard aur mard mein itna hi farq hai
wo nan ke liye mare ye nam ke liye

misl-e-kamand apni rasai hui agar
ai qasr-e-yar bose lab-e-baam ke liye

kya chashm-e-mast-e-yar se tashbih dijiye
kaifiyyat-e-nigah nahin jam ke liye

rakhwa ke zulfen yar ne lakhon hi murgh-e-dil
paida kiye hain kashmakash-e-dam ke liye

dil mein siwae yar jagah ho na ghair ki
KHalwat sara-e-KHas nahin aam ke liye

jata hai bahr-e-ghusl jo ai KHush-dimagh tu
jalta hai ud garmi-e-hammam ke liye

'atish' jo chahe pae tawakkul ke mahkame
jo subh ko mile na rahe sham ke liye