naz kar naz ki ye naz juda hai sab se
mera lahja meri aawaz juda hai sab se
juz mohabbat kise malum ki wo chashm-e-haya
baat to karti hai andaz juda hai sab se
jis ko bhi mar diya zinda-e-jawed kiya
harf-e-haq tera ye eajaz juda hai sab se
dekhna kaun hai kya us ko nahin jaan-e-aziz
sar-e-darbar ek aawaz juda hai sab se
TuT jata hai to sur aur bhi lau dete hain
dil jise kahte hain wo saz juda hai sab se
soch kar dam bichhana zara ai mauj-e-hawa
mere inkar ki parwaz juda hai sab se
nashsha-e-dahr-o-qayamat ka to kya zikr 'umid'
wo mera sarw-e-sar-afraaz juda hai sab se

Ghazal
Naz kar naz ki ye naz juda hai sab se
Ummeed Fazli