naz bhala kis baat ka tujh ko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin
manzil par pahunchega kaise raKHt-e-safar jab kuchh bhi nahin
dekh bhaTak jae na musafir aankh ki bhul-bhulaiyya mein
kis ko DhunDe shoKH-nazar ta-hadd-e-nazar jab kuchh bhi nahin
meri nigahon mein duniya ki har shai se nayab hai tu
aur kisi ko kyun chahun tujh se behtar jab kuchh bhi nahin
main bhi fani tu bhi fani sara aalam fani hai
kya KHad-o-KHal pe naz karen duniya mein amar jab kuchh nahin
jugnu aur sitare mil kar tujh ko kya lalkarenge
tere aage nur ke paikar shams-o-qamar jab kuchh bhi nahin
baatil ko ab kaun duhai qanun aur insaf ki de
bandon ka kya KHauf use allah ka Dar jab kuchh bhi nahin
taj-mahal phika lagta hai us ke rup ke aage 'shad'
teri kya auqat bhala sang-e-marmar jab kuchh bhi nahin
Ghazal
Naz bhala kis baat ka tujhko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin
Shmashad shad