اردو हिंदी
Nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen | Shaahi Shayari
nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen

Ghazal

Nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen

Mubarak Azimabadi

;

nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen
tu hi bata tujhe nigah-e-yar kya kahen

shikwa na dam ka hai na sayyaad ka gila
hum aap ho gae hain giraftar kya kahen

izhaar-e-haal-e-zar ka aison se faeda
aazar dil ka tujh se dil-azar kya kahen

karte hain waiz aap mazammat sharab ki
kahte hain kya janab ko mai-KHwar kya kahen

aison se tark-e-mai ka 'mubarak' sawal kya
tauba ki tujh se rind-e-qadah-KHwar kya kahen