naw TuTi hui biphra hua dariya dekha
ahl-e-himmat ne magar phir bhi kinara dekha
garche har chiz yahan hum ne buri hi dekhi
phir bhi kahna paDa jo dekha so achchha dekha
dip se dip jalane ki hui rasm tamam
hum ne insan ka insan se jalna dekha
jab se bachche ne khilaune se bahalna chhoDa
das baras mein hi use tis ke sin ka dekha
raij-ul-waqt hain bazar mein khoTe sikke
jo khare hain unhen hote hue ruswa dekha
hosh mein aaenge arbab-e-watan kab 'anjum'
main ne har-gam pe kashmir ka KHitta dekha

Ghazal
Naw TuTi hui biphra hua dariya dekha
Mushtaq Anjum