اردو हिंदी
Naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai | Shaahi Shayari
naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai

Ghazal

Naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai

Aulad Ali Rizvi

;

naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai
naKHuda par kabhi maujon pe nazar hoti hai

dur hai manzil-e-maqsud safar hai darpesh
sone walon ko jaga do ki sahar hoti hai

aur baDh jati hai kuchh quwwat-e-ehsas-e-amal
jitni dushwar meri rah-guzar hoti hai

ghar ke chhuTne ka asar aalam-e-ghurbat ka KHayal
kaifiyat dil ki ajab waqt-e-safar hoti hai

kya guzarti hai gulon par koi un se puchhe
nam gulshan ka hai kanTon pe basar hoti hai

azm kahta hai mera main bhi to dekhun aaKHir
kaun si hai wo muhim jo nahin sar hoti hai

kaun kahta hai gharib-ul-watani mein 'saqi'
sath le-de ke faqat gard-e-safar hoti hai