naw kaghaz ki sahi kuchh to nazar se guzre
us se pahle ki ye pani mere sar se guzre
phir samaat ko ata kar jaras-e-gul ki sada
qafila phir koi is rahguzar se guzre
koi dastak na sada koi tamanna na talab
hum ki darwesh the yun bhi tere dar se guzre
ghairat-e-ishq to kahti hai ki ab aankh na khol
is ke baad ab na koi aur idhar se guzre
main to chahun wo sar-e-dasht Thahar hi jae
par wo sawan ki ghaTa jaisa hai barse guzre
habs ki rut mein koi taza hawa ka jhonka
baad-o-baran ke KHuda mere bhi ghar se guzre
mujh ko mahfuz rakha hai mere chhoTe qad ne
jitne patthar idhar aae mere sar se guzre
Ghazal
Naw kaghaz ki sahi kuchh to nazar se guzre
Saadullah Kaleem