nashte par jise aazad kiya hai main ne
dopahar ke liye irshad kiya hai main ne
ai mere dil teri hasti nazar aati thi kahan
tu kahan tha tujhe ijad kiya hai main ne
phul hi phul hain ta-hadd-e-nazar phul hi phul
is KHarabe ke liye yaad kiya hai main ne
sare asbab wahan rakkhe hain darwaze ke pas
teri jagir ko aabaad kiya hai main ne
KHas mauqon pe jhalak apni dikha sakte hain
jin ko sanjida-e-fariyaad kiya hai main ne
aaj wo bhul sudhaarun to sudhaarun kaise
us ko ruKHsat ba-dil-e-shad kiya hai main ne
dilli walon ki zaban mein jise dil kahte hain
surKH angar tha barbaad kiya hai main ne

Ghazal
Nashte par jise aazad kiya hai maine
Rauf Raza