اردو हिंदी
Naseha kar na ise si ke pasheman mujhko | Shaahi Shayari
naseha kar na ise si ke pasheman mujhko

Ghazal

Naseha kar na ise si ke pasheman mujhko

Qayem Chandpuri

;

naseha kar na ise si ke pasheman mujh ko
kitne hi chaak abhi karne hain gareban mujh ko

wahshat-e-dil koi shahron mein sama sakti hai
kash le jae junun su-e-bayaban mujh ko

ahl-e-masjid ne jo kafir mujhe samjha to kya
sakin-e-dair to jaane hain musalman mujh ko

main sar-e-mu nahin jun zulf kisi se shaki
baada-dasti ne kiya meri pareshan mujh ko

sach kaho kis se hai ye nain khilane ka shauq
bhejte ho jo pae-surma-safahan mujh ko

yan talak KHush hun amarid se ki ai rabb-e-karim
kash de hur ke badle bhi tu ghilman mujh ko

muft tak to koi 'qaem' nahin lene ka ye jins
kah falak se kare kuchh aur bhi arzan mujh ko