اردو हिंदी
Naseh na bak zyaada mera man ye suKHan | Shaahi Shayari
naseh na bak zyaada mera man ye suKHan

Ghazal

Naseh na bak zyaada mera man ye suKHan

nayan sukh

;

naseh na bak zyaada mera man ye suKHan
mujh seti chhoTe ishq hai imkan ye suKHan

tasbih namaz roza se mujh ko nahin hai kaam
main but-parast hun mera pahchan ye suKHan

har rose mujh ko ishq se kyun rokta hai tu
aaKHir ko kho raha hai teri jaan ye suKHan

dildar dilruba hain mere dal ke mushtari
main in ka hun meri jaan ye suKHan

itne mein mera yar mere pas aa gaya
kahne laga ki kya hai mehrban ye suKHan

us be-haya se kahe ko KHali karo ho maghz
ye bewaquf hai jo kahe aan ye suKHan

talib ko marifat ke sabhi chiz hain muaf
akasr ke kah gae hain qadr-dan ye suKHan

al-qissa ho KHamosh kiya main ne ye yaqin
jab munh se yar ke paDa mujh ko kan ye suKHan

behtar hai sab se dosti apni KHuda ki 'nayan'
feal abas hai yari gaihan ye suKHan