naqus ki sadaon se aur na azan se
nafrat hai us ko mulk ke amn-o-aman se
millat-farosh ko kisi millat se kya gharaz
us ko to hai gharaz faqat apni dukan se
chhalni jo kar gaya tha ayodhya ko ram ki
nikla tha tir wo bhi usi ki kaman se
apna bana ke aap ne ye kya ghazab kiya
begana kar diya mujhe sare jahan se
dil ko unhin se rah bhi hoti hai kuchh 'atiq'
alfaz jo nikalte hain dil ki zaban se
Ghazal
Naqus ki sadaon se aur na azan se
Ateeq Muzaffarpuri