اردو हिंदी
Nam tera bhi rahega na sitamgar baqi | Shaahi Shayari
nam tera bhi rahega na sitamgar baqi

Ghazal

Nam tera bhi rahega na sitamgar baqi

Anees Ansari

;

nam tera bhi rahega na sitamgar baqi
jab hai firaun na changez ka lashkar baqi

apne chehron ko siyahi mein chhupane walo
nok-e-neza pe hai suraj sa koi sar baqi

tere wirse pe hain ghasib ki uqabi nazren
ghaflaton se nahin rahte ye jawahar baqi

ek sadaf sath-e-samandar pe baha jata hai
aur sahil pe nahin ek shanawar baqi

ek saf hon to banen sisa pilai diwar
hon adu ke liye rahen na kahin dar baqi

qadr kam hoti hai taqsim jo hota hai adu
hasil-e-jama mein barakat hai barabar baqi

jal phir laya hai sayyaad phansane ke liye
mil ke uD jaen parinde na rahe Dar baqi

zulm se sar ko na Takraen to phir sajda karen
han pata hai ki dar hoga na kahin sar baqi

hum shahidon ko kabhi murda nahin kahte 'anis'
rizq jannat mein mile shan yahan par baqi