nam sunta hun tera jab bhare sansar ke bich
lafz ruk jate hain aa kar meri guftar ke bich
ek hi chehra kitabi nazar aata hai hamein
kabhi ashaar ke bahar kabhi ashaar ke bich
ek dil TuTa magar kitni naqaben palTin
jit ke pahlu nikal aae kai haar ke bich
koi mahfil ho nazar us ki hamin par Thahri
kabhi apnon mein sataya kabhi aghyar ke bich
aise zahid ki qayaadat mein to tauba tauba
kabhi iman ki baaten kabhi kuffar ke bich
kabhi tahzib-o-tamaddun ka ye markaz tha miyan
tum ko basti jo nazar aati hai aasar ke bich
jis tarah TaT ka paiwand ho maKHmal mein 'adil'
maghribi chaal-chalan mashriqi aqdar ke bich
Ghazal
Nam sunta hun tera jab bhare sansar ke bich
Adeel Zaidi