اردو हिंदी
Nam se tere jo raushan matla-e-diwan hua | Shaahi Shayari
nam se tere jo raushan matla-e-diwan hua

Ghazal

Nam se tere jo raushan matla-e-diwan hua

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

;

nam se tere jo raushan matla-e-diwan hua
har waraq KHurshed ke manind nur-afshan hua

teri hi qudrat se paida hai zamin-o-asman
KHak ka putla tajalli se teri insan hua

tere abr-e-faiz se taza hai bagh-e-kaenat
kya gul-e-alam nasim-e-fazl se KHandan hua

qadr rakhta hai sulaiman se zyaada mor bhi
jo gada darwaze ka tere hua sultan hua

yaad se teri dil-e-nashad apna shad hai
zikr tera mere dard-e-fikr ka darman hua

sar-bulandi mein bhi mujh ko faKHr ki daulat mili
allah allah kis qadar mujh par tera ehsan hua

halqa-e-sahab-e-dilan mein tera 'ahqar' nam hai
ye samajh le chaak tera nama-e-isyan hua