اردو हिंदी
Nam loge jo yan se jaane ka | Shaahi Shayari
nam loge jo yan se jaane ka

Ghazal

Nam loge jo yan se jaane ka

Taskeen Dehlavi

;

nam loge jo yan se jaane ka
aap mein phir nahin main aane ka

hum ko tauf-e-haram mein yaad aaya
laDkhaDana sharab-KHane ka

dam le ai chashm-e-tar ki dekhun main
aalam us gul ke muskurane ka

dekh sakte nahin wo mera haal
kya sabab kahiye muskurane ka

dil-e-sad-chaak ki bana surat
zulf par dil gaya hai shane ka

jalwa is zid se wo dikha denge
hum ko dawa hai tab lane ka

sun ke wo haal kahte hai 'taskin'
nam bhi kuchh hai is fasane ka