nam KHushbu tha sarapa bhi ghazal jaisa tha
chand se chehre pe parda bhi ghazal jaisa tha
sare alfaz ghazal jaise the guftar ke waqt
rang-e-izhaar-e-tamanna bhi ghazal jaisa tha
phul hi phul the kaliyan thin hasin galiyan thin
aap ke ghar ka wo rasta bhi ghazal jaisa tha
us ki aankhen bhi hasin aankh mein aansu bhi hasin
gham mein Duba hua chehra bhi ghazal jaisa tha
wo jawani wo mohabbat wo shararat ka nasha
wo meri umr ka hissa bhi ghazal jaisa tha
fasle the na judai thi na tanhai thi
teri qurbat ka wo lamha bhi ghazal jaisa tha
wo na mera na main us ka tha magar ai 'dana'
dhundla dhundla sa wo rishta bhi ghazal jaisa tha
Ghazal
Nam KHushbu tha sarapa bhi ghazal jaisa tha
Abbas Dana