nam hi rah gaya ek anjuman-arai ka
chhup gaya chand bhi ab to shab-e-tanhai ka
dil se jati nahin Thahre hue qadmon ki sada
aankh ne swang racha rakkha hai binai ka
ek ek yaad ko aahon se jalata jaun
kaam saunpa hai ajab us ne masihai ka
ab na wo lams nigahon ka na KHushbu ki sada
dil ne dekha tha magar KHwab shanasai ka
saat-e-dard farozan hai baha len aansu
TuTne ko hai kaDa waqt shakebai ka

Ghazal
Nam hi rah gaya ek anjuman-arai ka
Mughni Tabassum