nam hi kya nishan hi kya KHwab-o-KHayal ho gae
teri misal de ke hum teri misal ho gae
saya-e-zat se bhi ram aks-e-sifat se bhi ram
dasht-e-ghazal mein aa ke dekh hum to ghazal ho gae
kahte hi nashsha-ha-e-zauq kitne hi jazba-ha-e-shauq
rasm-e-tapak-e-yar se ru-ba-zawal ho gae
ishq hai apna paedar teri wafa hai ustuwar
hum to halak-e-warzish-e-farz-e-muhaal ho gae
jada-e-shauq mein paDa qaht-e-ghubar-e-karwan
wan ke shajar to sar-ba-sar dast-e-sawal ho gae
saKHt zamin-parast the ahd-e-wafa ke pasdar
uD ke bulandiyon mein hum gard-e-malal ho gae
qurb-e-jamal aur hum aish-e-visal aur hum
han ye hua ki sakin-e-shahr-e-jamal ho gae
ham-nafasan-e-waza-dar mustamian-e-burd-bar
hum to tumhaare waste ek wabaal ho gae
kaun sa qafila hai ye jis ke jaras ka hai ye shor
main to niDhaal ho gaya hum to niDhaal ho gae
KHar-ba-KHar gul-ba-gul fasl-e-bahaar aa gai
fasl-e-bahaar aa gai zaKHm bahaal ho gae
shor uTha magar tujhe lazzat-e-gosh to mili
KHun baha magar tere hath to lal ho gae
'jaun' karoge kab talak apna misaliya talash
ab kai hijr ho chuke ab kai sal ho gae
Ghazal
Nam hi kya nishan hi kya KHwab-o-KHayal ho gae
Jaun Eliya